Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin

Shayar Jamali

jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin

Shayar Jamali

MORE BYShayar Jamali

    jism aañch nahīñ sho.ala-e-ruḳhsār nahīñ

    husn ab vo kahīñ garmī-e-bāzār nahīñ

    kaun ruuh pe bār-e-ġham-e-afkār nahīñ

    kaun sar hai ki jis par koī talvār nahīñ

    pheñk do mujh ko dahakte hue sūraj tarah

    merī qismat meñ agar sāya-e-dīvār nahīñ

    un ke pairoñ ke tale phuul bichhā.e jaa.eñ

    aur maiñ lams-e-nazar bhī to haqdār nahīñ

    kyoñ musir ho ki ġhalat baat tā.īd karūñ

    maiñ to is jurm pe apnā bhī taraf-dār nahīñ

    kis liye haiñ ye sazā aur jazā ke charche

    jab tujhe merī haqīqat se bhī inkār nahīñ

    paañv Thokar ko taraste haiñ ki tā-hadd-e-nazar

    rāste meñ koī patthar nahīñ dīvār nahīñ

    jab ye chaltī hai to dil kaaT diyā kartī hai

    ham ne maanā ki zabāñ hai koī talvār nahīñ

    mujh meñ dilchaspī ke asbāb na DhūñDo yaaro

    ik haqīqat huuñ maiñ afsāne kirdār nahīñ

    mujh ko tārīḳh meñ mahfūz kiyā jā.egā

    maiñ sahīfa huuñ koī roz aḳhbār nahīñ

    maiñ pareshāñ huuñ bhikārī to nahīñ huuñ logo

    kyoñ koī aañkh milāne ravādār nahīñ

    haq-ba-jānib ho jo hañste ho mirā ġham sun kar

    mujh meñ be-shak ye kamī hai maiñ adākār nahīñ

    ab tire jaur sūraj hai sivā neze par

    zer-e-dīvār bhī ab sāya-e-dīvār nahīñ

    tujh pe ā.eñge har ik samt se patthar 'shā.ir'

    kūcha-e-yār hai ye misr bāzār nahīñ

    jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin

    husn ki ab wo kahin garmi-e-bazar nahin

    kaun si ruh pe bar-e-gham-e-afkar nahin

    kaun sa sar hai ki jis par koi talwar nahin

    phenk do mujh ko dahakte hue suraj ki tarah

    meri qismat mein agar saya-e-diwar nahin

    un ke pairon ke tale phul bichhae jaen

    aur main lams-e-nazar ka bhi to haqdar nahin

    kyon musir ho ki ghalat baat ki taid karun

    main to is jurm pe apna bhi taraf-dar nahin

    kis liye hain ye saza aur jaza ke charche

    jab tujhe meri haqiqat se bhi inkar nahin

    panw Thokar ko taraste hain ki ta-hadd-e-nazar

    raste mein koi patthar nahin diwar nahin

    jab ye chalti hai to dil kaT diya karti hai

    hum ne mana ki zaban hai koi talwar nahin

    mujh mein dilchaspi ke asbab na DhunDo yaro

    ek haqiqat hun main afsane ka kirdar nahin

    mujh ko tariKH mein mahfuz kiya jaega

    main sahifa hun koi roz ka aKHbar nahin

    main pareshan hun bhikari to nahin hun logo

    kyon koi aankh milane ka rawadar nahin

    haq-ba-jaanib ho jo hanste ho mera gham sun kar

    mujh mein be-shak ye kami hai main adakar nahin

    ab tere jaur ka suraj hai siwa neze par

    zer-e-diwar bhi ab saya-e-diwar nahin

    tujh pe aaenge har ek samt se patthar 'shair'

    kucha-e-yar hai ye misr ka bazar nahin

    Source:

    Saheefa (Pg. 103)

    • Author: Shayar Jamali
      • Publisher: Shayar Jamali
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now