Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ki diwar ke bahar na dekh

Farkhanda Razvi

jism ki diwar ke bahar na dekh

Farkhanda Razvi

MORE BYFarkhanda Razvi

    jism dīvār ke bāhar na dekh

    dūsroñ aañkh se manzar na dekh

    dushmanoñ ḳhāmiyoñ par rakh nazar

    dostoñ ke haath meñ ḳhanjar na dekh

    dahr meñ rakh har nafas se ḳhud ġharaz

    ghar ke hote aur koī ghar na dekh

    yuuñ bhī hai tujh ko bikharnā ek din

    zaat ke ā.īne se bāhar na dekh

    be-qarārī muqaddar hai tirā

    nāz-o-andāz-e-dil-e-muztar na dekh

    ho chukī 'ḳhanda' har ik sozish tamām

    be-sabab ab raakh ke andar na dekh

    jism ki diwar ke bahar na dekh

    dusron ki aankh se manzar na dekh

    dushmanon ki KHamiyon par rakh nazar

    doston ke hath mein KHanjar na dekh

    dahr mein rakh har nafas se KHud gharaz

    ghar ke hote aur koi ghar na dekh

    yun bhi hai tujh ko bikharna ek din

    zat ke aaine se bahar na dekh

    be-qarari hi muqaddar hai tera

    naz-o-andaz-e-dil-e-muztar na dekh

    ho chuki 'KHanda' har ek sozish tamam

    be-sabab ab rakh ke andar na dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now