Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar

Shaukat Wasti

jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar

Shaukat Wasti

MORE BYShaukat Wasti

    jism ko jaañ sirā parda-e-ra.anā.ī kar

    saa.e ko dhuup mānind na harjā.ī kar

    fikr ko zehn dīvār pe tasvīr banā

    aañkh ko mad.h-sarā dil ko tamāshā.ī kar

    haiñ tirī zaat meñ bhī bū-qalamūñ hañgāme

    magar ḳhud ko zarā ḳhūgar-e-tanhā.ī kar

    shahr-dar-shahr tirā naam nikaltā jaa.e

    ai sitamgar mirī khol ke rusvā.ī kar

    'ain-mumkin hai ki ho jaa.e yahī sajda qubūl

    apnī dahlīz pe nāsiya-farsā.ī kar

    marne vāloñ ko jilāne takalluf kyā hai

    jiite mar ga.e jo un masīhā.ī kar

    'shaukat' ab āñsuoñ meñ bhiig rahī hai āvāz

    dard bahne lagā hai zamzama-ārā.ī kar

    jism ko jaan ka sira parda-e-ranai kar

    sae ko dhup ki manind na harjai kar

    fikr ko zehn ki diwar pe taswir bana

    aankh ko madh-sara dil ko tamashai kar

    hain teri zat mein bhi bu-qalamun hangame

    tu magar KHud ko zara KHugar-e-tanhai kar

    shahr-dar-shahr tera nam nikalta jae

    ai sitamgar meri ji khol ke ruswai kar

    'ain-mumkin hai ki ho jae yahi sajda qubul

    apni dahliz pe tu nasiya-farsai kar

    marne walon ko jilane ka takalluf kya hai

    jite ji mar gae jo un ki masihai kar

    'shaukat' ab aansuon mein bhig rahi hai aawaz

    dard bahne laga hai zamzama-arai kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now