aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ko ruh ki sarhad pe bula kar dekhen

Shumama Ufuq

jism ko ruh ki sarhad pe bula kar dekhen

Shumama Ufuq

MORE BYShumama Ufuq

    jism ko ruuh sarhad pe bulā kar dekheñ

    kyuuñ na ā.īne ke andar kabhī kar dekheñ

    jin āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ hai vo log

    sūkhe peḌoñ se parinde uḌā kar dekheñ

    ḳhvāb ham din meñ pakaḌ leñ koī jugnū jaisā

    bārhā raat meñ phir us ko jilā kar dekheñ

    is meñ girdāb bahāv na kaTāv hai kahīñ

    kyuuñ na tālāb meñ ik ashk girā kar dekheñ

    is se pahle ki ḳhamoshī dam ghuTne lage

    TūTtī saañs zanjīr hilā kar dekheñ

    jism ko ruh ki sarhad pe bula kar dekhen

    kyun na aaine ke andar kabhi ja kar dekhen

    jin ki aankhon mein koi KHwab nahin hai wo log

    sukhe peDon se parinde hi uDa kar dekhen

    KHwab hum din mein pakaD len koi jugnu jaisa

    barha raat mein phir us ko jila kar dekhen

    is mein girdab bahaw na kaTaw hai kahin

    kyun na talab mein ek ashk gira kar dekhen

    is se pahle ki KHamoshi hi si dam ghuTne lage

    TuTti sans ki zanjir hila kar dekhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now