jism mein jaan ka jazira DhunDh
jism meñ jaan kā jazīra DhūñDh
yā'nī apnā koī Thikāna DhūñDh
is badan ko faqat na sahrā jaan
hai ravāñ ek isī meñ dariyā DhūñDh
shā'irī ke liye na tanhā ho
zindagī ke liye vo duniyā DhūñDh
is masāfat kī āḳhirat ho jahāñ
ek usī rāste kā rasta DhūñDh
jis kā partau haiñ tīrgī-o-nūr
ai nazar DhūñDh vo hī chehra DhūñDh
vo yahīñ ās-pās rahtā hai
‘sānī’-e-ḳhasta-hāl ko jā DhūñDh
jism mein jaan ka jazira DhunDh
ya'ni apna koi Thikana DhunDh
is badan ko faqat na sahra jaan
hai rawan ek isi mein dariya DhunDh
sha'iri ke liye na tanha ho
zindagi ke liye wo duniya DhunDh
is masafat ki aaKHirat ho jahan
ek usi raste ka rasta DhunDh
jis ka partau hain tirgi-o-nur
ai nazar DhunDh wo hi chehra DhunDh
wo yahin aas-pas rahta hai
‘sani’-e-KHasta-haal ko ja DhunDh
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 109)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.