Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jismon ki chaDhti dhup ka jab qahr utar gaya

Musavvir Sabzwari

jismon ki chaDhti dhup ka jab qahr utar gaya

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    jismoñ chaḌhtī dhuup jab qahr utar gayā

    ik sho.ala Dūbne ko sar-e-nahr utar gayā

    phir yaad aa ga.ī hai tire āñsuoñ shaam

    phir aaj zer-e-āb koī shahr utar gayā

    ab Das rahā hai mujh ko mirā khokhlā badan

    sāvan bijliyoñ se mirā zahr utar gayā

    ham mauj-e-tah-nashīñ the tujhe chhū nahīñ sake

    barg-e-sat.h-e-āb thā har lahar utar gayā

    ab rū-kash-e-jamāl 'musavvir' nahīñ koī

    chehra-ba-chehra aks-e-ruḳh-e-dahr utar gayā

    jismon ki chaDhti dhup ka jab qahr utar gaya

    ek shoala Dubne ko sar-e-nahr utar gaya

    phir yaad aa gai hai tere aansuon ki sham

    phir aaj zer-e-ab koi shahr utar gaya

    ab Das raha hai mujh ko mera khokhla badan

    sawan ki bijliyon se mera zahr utar gaya

    hum mauj-e-tah-nashin the tujhe chhu nahin sake

    tu barg-e-sath-e-ab tha har lahar utar gaya

    ab ru-kash-e-jamal 'musawwir' nahin koi

    chehra-ba-chehra aks-e-ruKH-e-dahr utar gaya

    Source:

    Manghii dhire chal (Pg. 63)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now