Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitna kashish ka jadu tha sara KHala ka tha

Hamza Yaqub

jitna kashish ka jadu tha sara KHala ka tha

Hamza Yaqub

MORE BYHamza Yaqub

    jitnā kashish jaadū thā saarā ḳhalā thā

    āñkheñ nahīñ thiiñ pahlā kināra ḳhalā thā

    duniyā ko us apnī kasāfat Dubo ga.ī

    maiñ bach gayā ki mujh ko sahārā ḳhalā thā

    luġhvī nahīñ murādī matālib pe ġhaur kar

    dil dil nahīñ thā ek ishārā ḳhalā thā

    lākhoñ tarah ke ma.anī the ḳhālī saleT ke

    har shai se dil-fareb nazārā ḳhalā thā

    tai thā hamāre dil imārat TūTnā

    īñTeñ zamīn thiiñ to gaarā ḳhalā thā

    duniyā ke sab charāġh lage the qatār meñ

    rasta dikhāne vaalā sitāra ḳhalā thā

    aañsū gire to dil ko tasallī ho ga.ī

    sayyāre ḳhush the kyūñki ḳhasārā ḳhalā thā

    nām-o-nasab duniyā meñ kuchh ahmiyat nahīñ

    varna to maiñ bhī rāj-dulārā ḳhalā thā

    ThanDak se jamne vaalī sadā.eñ zamīñ thiiñ

    ġhusse se khaultā huā paarā ḳhalā thā

    'hamza' jagah ke saare mabāhis fuzūl haiñ

    jhagḌā jab hamārā tumhārā ḳhalā thā

    jitna kashish ka jadu tha sara KHala ka tha

    aankhen nahin thin pahla kinara KHala ka tha

    duniya ko us ki apni kasafat Dubo gai

    main bach gaya ki mujh ko sahaara KHala ka tha

    lughwi nahin muradi matalib pe ghaur kar

    dil dil nahin tha ek ishaara KHala ka tha

    lakhon tarah ke mani the KHali saleT ke

    har shai se dil-fareb nazara KHala ka tha

    tai tha hamare dil ki imarat ka TuTna

    inTen zamin ki thin to gara KHala ka tha

    duniya ke sab charagh lage the qatar mein

    rasta dikhane wala sitara KHala ka tha

    aansu gire to dil ko tasalli si ho gai

    sayyare KHush the kyunki KHasara KHala ka tha

    nam-o-nasab ki duniya mein kuchh ahmiyat nahin

    warna to main bhi raj-dulara KHala ka tha

    ThanDak se jamne wali sadaen zamin ki thin

    ghusse se khaulta hua para KHala ka tha

    'hamza' jagah ke sare mabahis fuzul hain

    jhagDa hi jab hamara tumhaara KHala ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now