jitne dariya hain samundar ki taraf khulte hain
jitne dariyā haiñ samundar kī taraf khulte haiñ
ham bhī dariyā haiñ par andar kī taraf khulte haiñ
hujra-e-zaḳhm se bāhar kī koī raah nahīñ
kuchh darīche haiñ jo andar kī taraf khulte haiñ
shāḳh-e-duniyā pe bas ik phuul hai chehra us kā
dil bhī aksar usī manzar kī taraf khulte haiñ
saare sahrāoñ pe darvāza hai tanhā.ī mirī
saare vīrāne mire ghar kī taraf khulte haiñ
ḳhuun kī dhaar ko mā'lūm hai manzil apnī
sab gale apne hī ḳhanjar kī taraf khulte haiñ
sab kī miTTī meñ haiñ kuchh rāste andar andar
jo kahīñ duur samundar kī taraf khulte haiñ
jitne dariya hain samundar ki taraf khulte hain
hum bhi dariya hain par andar ki taraf khulte hain
hujra-e-zaKHm se bahar ki koi rah nahin
kuchh dariche hain jo andar ki taraf khulte hain
shaKH-e-duniya pe bas ek phul hai chehra us ka
dil bhi aksar usi manzar ki taraf khulte hain
sare sahraon pe darwaza hai tanhai meri
sare virane mere ghar ki taraf khulte hain
KHun ki dhaar ko ma'lum hai manzil apni
sab gale apne hi KHanjar ki taraf khulte hain
sab ki miTTi mein hain kuchh raste andar andar
jo kahin dur samundar ki taraf khulte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 68)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.