jo aawe munh pe tere mahtab hai kya chiz
jo aave muñh pe tire māhtāb hai kyā chiiz
ġharaz ye maah to kyā āftāb hai kyā chiiz
ye pairahan meñ hai is gore gore tan kī jhalak
ki jis ke sāmne motī kī aab hai kyā chiiz
bhulā diiñ ham ne kitābeñ ki us parī-rū ke
kitābī chehre ke aage kitāb hai kyā chiiz
tumhāre hijr meñ āñkheñ hamārī muddat se
nahīñ ye jāntīñ duniyā meñ ḳhvāb hai kyā chiiz
'nazīr' hazrat-e-dil kā na kuchh khulā ahvāl
maiñ kis se pūchhūñ ye nudrat-ma.āb hai kyā chiiz
jo saḳht hove to aisā ki koh aahan kā
jo narm hove to barg-e-gulāb hai kyā chiiz
ghaḌī meñ sañg ghaḌī mom aur ghaḌī faulād
ḳhudā hī jaane ye ālī-janāb hai kyā chiiz
jo aawe munh pe tere mahtab hai kya chiz
gharaz ye mah to kya aaftab hai kya chiz
ye pairahan mein hai is gore gore tan ki jhalak
ki jis ke samne moti ki aab hai kya chiz
bhula din hum ne kitaben ki us pari-ru ke
kitabi chehre ke aage kitab hai kya chiz
tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat se
nahin ye jaantin duniya mein KHwab hai kya chiz
'nazir' hazrat-e-dil ka na kuchh khula ahwal
main kis se puchhun ye nudrat-maab hai kya chiz
jo saKHt howe to aisa ki koh aahan ka
jo narm howe to barg-e-gulab hai kya chiz
ghaDi mein sang ghaDi mom aur ghaDi faulad
KHuda hi jaane ye aali-janab hai kya chiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.