Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo apne aapko sab kuchh samajh le

Abid Akhtar

jo apne aapko sab kuchh samajh le

Abid Akhtar

MORE BYAbid Akhtar

    jo apne aap ko sab kuchh samajh le

    na jaane aap ko kab kuchh samajh le

    mukarrar is liye samjhā rahā huuñ

    bahut mumkin hai vo ab kuchh samajh le

    nasīhat tujhe tab haq milegā

    apne aap ko jab kuchh samajh le

    duā ke ba.ad bhī ye iltijā hai

    ziyāda kah gayā ab kuchh samajh le

    yahāñ sab kuchh kise hāsil huā hai

    jo hāsil hai use sab kuchh samajh le

    taġhāful ko na itnā kaam meñ

    guzar jā.egī ye shab kuchh samajh le

    jo apne aap ko sab kuchh samajh le

    na jaane aap ko kab kuchh samajh le

    mukarrar is liye samjha raha hun

    bahut mumkin hai wo ab kuchh samajh le

    nasihat ka tujhe tab haq milega

    tu apne aap ko jab kuchh samajh le

    dua ke baad bhi ye iltija hai

    ziyaada kah gaya ab kuchh samajh le

    yahan sab kuchh kise hasil hua hai

    jo hasil hai use sab kuchh samajh le

    taghaful ko na itna kaam mein la

    guzar jaegi ye shab kuchh samajh le

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 704)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now