jo apni zaban par hai qissa paraya
jo apnī zabāñ par hai qissa parāyā
vo hai terā apnā nishāna parāyā
zarā koī ye dhuup chhāñv to dekhe
kaḌī dhuup merī to saaya parāyā
kabhī dab ga.e bojh se aap apne
kabhī bojh kāñdhe pe laadā parāyā
ta.ajjub hai gañgā bahī bhī to ulTī
parāyā to apnā hai apnā parāyā
na jaane koī keñchulī kab badal le
nigāhoñ kā dhokā hai apnā-parāyā
usī kā maiñ ho kar rahā zindagī bhar
mujhe umr bhar jis ne samjhā parāyā
mujhe 'sāz' apnoñ ne dekhā to bole
ye apnā nahīñ hai parāyā parāyā
jo apni zaban par hai qissa paraya
wo hai tera apna nishana paraya
zara koi ye dhup chhanw to dekhe
kaDi dhup meri to saya paraya
kabhi dab gae bojh se aap apne
kabhi bojh kandhe pe lada paraya
tajjub hai ganga bahi bhi to ulTi
paraya to apna hai apna paraya
na jaane koi kenchuli kab badal le
nigahon ka dhoka hai apna-paraya
usi ka main ho kar raha zindagi bhar
mujhe umr bhar jis ne samjha paraya
mujhe 'saz' apnon ne dekha to bole
ye apna nahin hai paraya paraya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.