Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai

Ram Parshad Sharda

jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai

Ram Parshad Sharda

MORE BYRam Parshad Sharda

    jo bahar-e-vatan marne ko tayyār nahīñ hai

    jiine kisī taur vo haqdār nahīñ hai

    kyā fā.eda is shikva-o-faryād-o-fuġhāñ se

    sunñe ko jise koī bhī tayyār nahīñ hai

    vaa.iz se kaho ke kare va.az kahīñ aur

    koī bhī to is bazm meñ hushiyār nahīñ hai

    karnī hai bapā phir mujhe ik shorish-e-daurāñ

    ai dosto naala mirā be-kār nahīñ hai

    jis pe baseñ ġhairat-e-millī ke muhāfiz

    jannat hai vo zindān dīvār nahīñ hai

    bhaḌkeñge abhī aur bhī jazbāt ke sho.ale

    ātish ye tah-e-ḳhāk hai bedār nahīñ hai

    'bismil' ne ishāroñ meñ kahī dil kahānī

    bharpūr javānī ye guftār nahīñ hai

    jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai

    jine ka kisi taur wo haqdar nahin hai

    kya faeda is shikwa-o-faryaad-o-fughan se

    sunne ko jise koi bhi tayyar nahin hai

    waiz se kaho ja ke kare waz kahin aur

    koi bhi to is bazm mein hushiyar nahin hai

    karni hai bapa phir mujhe ek shorish-e-dauran

    ai dosto nala mera be-kar nahin hai

    jis ja pe basen ghairat-e-milli ke muhafiz

    jannat hai wo zindan ki diwar nahin hai

    bhaDkenge abhi aur bhi jazbaat ke shoale

    aatish ye tah-e-KHak hai bedar nahin hai

    'bismil' ne ishaaron mein kahi dil ki kahani

    bharpur jawani ki ye guftar nahin hai

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 86)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now