Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah

Asad Jafri

jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah

Asad Jafri

MORE BYAsad Jafri

    jo bazm-e-dahr meñ kal tak the ḳhud-suroñ tarah

    bikhar ga.e haiñ vo TuuTe hue paroñ tarah

    shikasta ruuh hai jismoñ ke gumbadoñ meñ asiir

    haiñ mere daur ke insān maqbaroñ tarah

    Daro tum un se ki vo rāz-dār-e-tūfāñ haiñ

    jo ek umr se chup haiñ samundaroñ tarah

    paḌā jo vaqt to vo phir nazar nahīñ aa.e

    yaqīñ kareñ ki jo milte the dilbaroñ tarah

    haqīqatoñ kareñ sāmnā dilerī se

    na ye ki muuñd leñ āñkheñ kabūtaroñ tarah

    jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah

    bikhar gae hain wo TuTe hue paron ki tarah

    shikasta ruh hai jismon ke gumbadon mein asir

    hain mere daur ke insan maqbaron ki tarah

    Daro tum un se ki wo raaz-dar-e-tufan hain

    jo ek umr se chup hain samundaron ki tarah

    paDa jo waqt to wo phir nazar nahin aae

    yaqin karen ki jo milte the dilbaron ki tarah

    haqiqaton ka karen samna dileri se

    na ye ki mund len aankhen kabutaron ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now