jo bhi aata hai yahan shahr-badar lagta hai
jo bhī aatā hai yahāñ shahr-badar lagtā hai
is liye ḳhud se bhī milte hue Dar lagtā hai
bhīge khetoñ sī mohabbat vahī sarsoñ sā charāġh
soñdhī miTTī sā mahaktā huā ghar lagtā hai
be-mahār uuñT sī lagtī hai kahānī apnī
jaise sahrā meñ sarāboñ kā safar lagtā hai
ik dhamāke se vo dīvār-e-anā TuuTī thī
dekhtā huuñ jo palaT kar to khañDar lagtā hai
tab tire shahr meñ aate hue Dar lagtā thā
ab tire shahr se jaate hue Dar lagtā hai
jo bhi aata hai yahan shahr-badar lagta hai
is liye KHud se bhi milte hue Dar lagta hai
bhige kheton si mohabbat wahi sarson sa charagh
sondhi miTTi sa mahakta hua ghar lagta hai
be-mahaar unT si lagti hai kahani apni
jaise sahra mein sarabon ka safar lagta hai
ek dhamake se wo diwar-e-ana TuTi thi
dekhta hun jo palaT kar to khanDar lagta hai
tab tere shahr mein aate hue Dar lagta tha
ab tere shahr se jate hue Dar lagta hai
- Book : Ishq (Pg. 107)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.