Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya

Hina Abbas

jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya

Hina Abbas

MORE BYHina Abbas

    jo bhī kahnā thā vo an-kahā rah gayā

    dil armān dil meñ dabā rah gayā

    umr bhar us jānib maiñ chaltī rahī

    phir bhī mīloñ ye fāsla rah gayā

    yuuñ to duniyā meñ sab kuchh hai mujh ko milā

    sirf to mujh se judā rah gayā

    apnī kahtā rahā merī ik sunī

    vo ḳhafā thā ḳhafā ḳhafā rah gayā

    aa gayā lauT kar vo mire paas

    mujh meñ phir bhī kahīñ ik ḳhalā rah gayā

    kyā batā.ūñ tumheñ apnī taqdīr se

    kyā milā hai mujhe aur kyā rah gayā

    DhūñDte DhūñDte maiñ kahīñ kho ga.ī

    vo bhī mere liye lāpata rah gayā

    manzileñ mil ga.iiñ jaane kis ko 'hinā'

    apnī qismat meñ bas rāsta rah gayā

    jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya

    dil ka arman dil mein daba rah gaya

    umr bhar us ki jaanib main chalti rahi

    phir bhi milon ka ye fasla rah gaya

    yun to duniya mein sab kuchh hai mujh ko mila

    sirf tu hi to mujh se juda rah gaya

    apni kahta raha meri ek na suni

    wo KHafa tha KHafa ka KHafa rah gaya

    aa gaya lauT kar wo mere pas hi

    mujh mein phir bhi kahin ek KHala rah gaya

    kya bataun tumhein apni taqdir se

    kya mila hai mujhe aur kya rah gaya

    DhunDte DhunDte main kahin kho gai

    wo bhi mere liye lapata rah gaya

    manzilen mil gain jaane kis ko 'hina'

    apni qismat mein bas rasta rah gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now