Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bure hain bhala nahin karte

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

jo bure hain bhala nahin karte

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi

    jo bure haiñ bhalā nahīñ karte

    jo bhale haiñ burā nahīñ karte

    mauj-o-tūfāñ se khelne vaale

    nāḳhudā nāḳhudā nahīñ karte

    mahfil-e-nāz se uTho lekin

    hashr le kar uThā nahīñ karte

    aap ne muskurā diyā hogā

    phuul aise hañsā nahīñ karte

    dil kudūrat se saaf kyoñ na karūñ

    aa.ine meñ jalā nahīñ karte

    kyoñ miTāte ho dāġh-hā-e-jigar

    diip aise bujhā nahīñ karte

    ḳhūgar-e-ġham jo hote haiñ 'ahsan'

    ġham ko dil se judā nahīñ karte

    jo bure hain bhala nahin karte

    jo bhale hain bura nahin karte

    mauj-o-tufan se khelne wale

    naKHuda naKHuda nahin karte

    mahfil-e-naz se uTho lekin

    hashr le kar uTha nahin karte

    aap ne muskura diya hoga

    phul aise hansa nahin karte

    dil kudurat se saf kyon na karun

    aaine mein jala nahin karte

    kyon miTate ho dagh-ha-e-jigar

    dip aise bujha nahin karte

    KHugar-e-gham jo hote hain 'ahsan'

    gham ko dil se juda nahin karte

    Source:

    Shakh-e-Tamanna (Pg. 53)

    • Author: Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
      • Publisher: Ashfaque Anjum
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now