Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha

Badr Shamsi

jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    jo chāñd ko āġhosh meñ lene pe aḌā thā

    har chand vo bachcha thā magar dil baḌā thā

    jab apnī pahchān se ran apnā paḌā thā

    ham aise jiyāloñ pe bhī vo vaqt kaḌā thā

    tūfān se laḌne 'alāmat thā jo socho

    yuuñ kahne ko miTTī vo ik kachchā ghaḌā thā

    khul kar mujhe ik saañs lenā bhī thā mushkil

    hālāt neza mire siine meñ gaḌā thā

    vo tiir chalātā rahā nazdīk samajh kar

    lekin maiñ nishāne se bahut duur khaḌā thā

    dekhā to hameñ Tuut ke do TukḌe hue the

    dushman safoñ meñ bhī hamārā dhaḌā thā

    har dhuup meñ jalnā rahā us muqaddar

    dīvār saaya pas-e-dīvār paḌā thā

    hangāma-e-jāñ shor-e-anā dil qayāmat

    maiñ kitne mahāzoñ pe akelā laḌā thā

    har zaḳhm jo baḳhshā thā mujhe us nazar ne

    ai 'badr' nagīne tarah dil meñ jaḌā thā

    jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha

    har chand wo bachcha tha magar dil ka baDa tha

    jab apni hi pahchan se ran apna paDa tha

    hum aise jiyalon pe bhi wo waqt kaDa tha

    tufan se laDne ki 'alamat tha jo socho

    yun kahne ko miTTi ka wo ek kachcha ghaDa tha

    khul kar mujhe ek sans ka lena bhi tha mushkil

    haalat ka neza mere sine mein gaDa tha

    wo tir chalata raha nazdik samajh kar

    lekin main nishane se bahut dur khaDa tha

    dekha to hamein Tut ke do TukDe hue the

    dushman ki safon mein bhi hamara hi dhaDa tha

    har dhup mein jalna hi raha us ka muqaddar

    diwar ka saya pas-e-diwar paDa tha

    hangama-e-jaan shor-e-ana dil ki qayamat

    main kitne mahazon pe akela hi laDa tha

    har zaKHm jo baKHsha tha mujhe us ki nazar ne

    ai 'badr' nagine ki tarah dil mein jaDa tha

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 73)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now