jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko
jo chalā aatā hai ḳhvāboñ kī taraf-dārī ko
us ne dekhā hī nahīñ ālam-e-be-zārī ko
pairahan chaak na ho jaa.e mire ḳhvāboñ kā
koī tabdīl kare rasm-e-azādārī ko
chāragar jab tujhe ehsās nahīñ hai to phir
kaun samjhe bhalā bīmār kī bīmārī ko
maiñ ne sochā thā jo bikne se bachā leñge mujhe
dauḌ kar aa.e vahī merī ḳharīdārī ko
ālam-e-ḳhvāb meñ hai jis kī hukūmat yaaro
vo samajhtā hai baġhāvat mirī bedārī ko
dil ke sahrā ko samundar se bachā le maulā
is qadar sahl na kar tū mirī dushvārī ko
kitne bhole haiñ tirī bazm meñ baiThe hue log
sach samajhte haiñ sabhī terī adākārī ko
jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko
us ne dekha hi nahin aalam-e-be-zari ko
pairahan chaak na ho jae mere KHwabon ka
koi tabdil kare rasm-e-azadari ko
chaaragar jab tujhe ehsas nahin hai to phir
kaun samjhe bhala bimar ki bimari ko
main ne socha tha jo bikne se bacha lenge mujhe
dauD kar aae wahi meri KHaridari ko
aalam-e-KHwab mein hai jis ki hukumat yaro
wo samajhta hai baghawat meri bedari ko
dil ke sahra ko samundar se bacha le maula
is qadar sahl na kar tu meri dushwari ko
kitne bhole hain teri bazm mein baiThe hue log
sach samajhte hain sabhi teri adakari ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.