Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chashm-e-shauq ki haalat se aashkar na tha

Qadr Oraizi

jo chashm-e-shauq ki haalat se aashkar na tha

Qadr Oraizi

MORE BYQadr Oraizi

    jo chashm-e-shauq hālat se āshkār na thā

    vo intizār ba-'unvān-e-intizār na thā

    ye aur kyā thā kisī jo intizār na thā

    nazar ko chain na thā qalb ko qarār na thā

    ‘urūj-e-ishq meñ thiiñ bad-gumāniyāñ aisī

    kisī zikr kyā apnā e'tibār na thā

    tire ḳhayāl nairangiyoñ thā ye asar

    kabhī qarār thā dil ko kabhī qarār na thā

    mujhe vahāñ ke nazāre haal kyā mā'lūm

    jahāñ nigāh uThāne iḳhtiyār na thā

    na aa.e vo mujhe thā jin intizār shadīd

    qayāmat aa.ī qayāmat intizār na thā

    qarār us judā.ī meñ kis tarah aatā

    ḳhayāl jab kisī markaz pe barqarār na thā

    jo e'tibār dilāyā thā aap ne mujh ko

    vo e'tibār dhoka thā e'tibār na thā

    jab us ke sāmne pahuñchā huuñ maiñ nahīñ mā'lūm

    qarār thā mujhe us vaqt qarār na thā

    uḌaa.e the tire jalve ne jis ke hosh-o-havās

    vo hoshiyār huā bhī to hoshiyār na thā

    jamāl-e-yār 'ain-ul-yaqīn thā lekin

    mirī nazar mire dil ko e'tibār na thā

    hamāre dil talavvun are ma.āz-allāh

    nizām-e-fikr bahar-hāl barqarār na thā

    vo kis maqām pe thā terā naqsh-e-pā aisā

    jo mere sajda-e-ulfat yādgār na thā

    maiñ kyā batā.ūñ unheñ 'qadr' jo ye pūchhte haiñ

    bhar aa.iiñ kis liye āñkheñ jo dil pe baar na thā

    jo chashm-e-shauq ki haalat se aashkar na tha

    wo intizar ba-'unwan-e-intizar na tha

    ye aur kya tha kisi ka jo intizar na tha

    nazar ko chain na tha qalb ko qarar na tha

    ‘uruj-e-ishq mein thin bad-gumaniyan aisi

    kisi ka zikr hi kya apna e'tibar na tha

    tere KHayal ki nairangiyon ka tha ye asar

    kabhi qarar tha dil ko kabhi qarar na tha

    mujhe wahan ke nazare ka haal kya ma'lum

    jahan nigah uThane ka iKHtiyar na tha

    na aae wo mujhe tha jin ka intizar shadid

    qayamat aai qayamat ka intizar na tha

    qarar us ki judai mein kis tarah aata

    KHayal jab kisi markaz pe barqarar na tha

    jo e'tibar dilaya tha aap ne mujh ko

    wo e'tibar ka dhoka tha e'tibar na tha

    jab us ke samne pahuncha hun main nahin ma'lum

    qarar tha mujhe us waqt ya qarar na tha

    uDae the tere jalwe ne jis ke hosh-o-hawas

    wo hoshiyar hua bhi to hoshiyar na tha

    jamal-e-yar ka 'ain-ul-yaqin tha lekin

    meri nazar ka mere dil ko e'tibar na tha

    hamare dil ka talawwun are maaz-allah

    nizam-e-fikr bahar-haal barqarar na tha

    wo kis maqam pe tha tera naqsh-e-pa aisa

    jo mere sajda-e-ulfat ki yaadgar na tha

    main kya bataun unhen 'qadr' jo ye puchhte hain

    bhar aain kis liye aankhen jo dil pe bar na tha

    Source:

    (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now