Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

Baqaullah 'Baqa'

jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    jo chashm-o-dil se chaḌhā duuñ naale ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    to māh-o-ḳhur ke bharūñ pyāle ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    jo chashm rove to dil bhī aahoñ meñ merī laḳht-e-jigar pirove

    jape vo sumran tirī ye maale ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    jo koī turbat pe merī guzre to tāb-e-ashk-o-tab-e-fuġhāñ se

    paḌeñ do har har qadam pe chhāle ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    jo āh-e-pechāñ se ashk shab ko falak pe gardish-kunāñ chaḌhegā

    to gird-e-mah do paḌeñge haale ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    sarishk-o-āh ab ye be-asar haiñ ki falak tak shab-e-judā.ī

    dar-e-asar par ye de haiñ taale ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    mabād furqat meñ chashm-o-dil ye ashk-rezī aur āh-ḳhezī

    balā-e-nāgah jahāñ pe Daale ba-āb-e-avval-dovam duvam-ba-ātish

    falak se devoñ tarah us bin sarishk-o-āh-e-'baqā' se ab to

    chaḌhe haiñ laḌne ko do risāle ba-āb-e-avval-dovam dovam-ba-ātish

    jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    to mah-o-KHur ke bharun pyale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    jo chashm rowe to dil bhi aahon mein meri laKHt-e-jigar pirowe

    jape wo sumran teri ye male ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    jo koi turbat pe meri guzre to tab-e-ashk-o-tab-e-fughan se

    paDen do har har qadam pe chhaale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    jo aah-e-pechan se ashk shab ko falak pe gardish-kunan chaDhega

    to gird-e-mah do paDenge haale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    sarishk-o-ah ab ye be-asar hain ki ja falak tak shab-e-judai

    dar-e-asar par ye de hain tale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    mabaad furqat mein chashm-o-dil ki ye ashk-rezi aur aah-KHezi

    bala-e-nagah jahan pe Dale ba-ab-e-awwal-dowam duwam-ba-atish

    falak se dewon ki tarah us bin sarishk-o-ah-e-'baqa' se ab to

    chaDhe hain laDne ko do risale ba-ab-e-awwal-dowam dowam-ba-atish

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-33 page-12)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now