Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chup rahen to kasak ho hansen to KHun Tapke

Shaayar Lakhnavi

jo chup rahen to kasak ho hansen to KHun Tapke

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    jo chup raheñ to kasak ho hañseñ to ḳhuuñ Tapke

    tirī nazar ne diyā zaḳhm bhī rafū tarah

    sikhā rahe haiñ vo ādāb-e-mai-kashī ham ko

    jo mai-kade meñ chhalakte rahe subū tarah

    surāġh-e-qatl milā ḳhud adā-e-qātil se

    vo rang-e-ruḳh bhī pukārā mire lahū tarah

    sukūt par bhī vo shāyad biThā.eñge pahre

    sukūt bhī to hai ik jurm-e-guftugū tarah

    tire visāl ḳhushbū tire firāq rang

    mirā vajūd hai ik shahr-e-rang-o-bū tarah

    hameñ bhī dekh ki ham zindagī ke sahrā meñ

    khile hue haiñ kisī zaḳhm-e-ārzū tarah

    jo chup rahen to kasak ho hansen to KHun Tapke

    teri nazar ne diya zaKHm bhi rafu ki tarah

    sikha rahe hain wo aadab-e-mai-kashi hum ko

    jo mai-kade mein chhalakte rahe subu ki tarah

    suragh-e-qatl mila KHud ada-e-qatil se

    wo rang-e-ruKH bhi pukara mere lahu ki tarah

    sukut par bhi wo shayad biThaenge pahre

    sukut bhi to hai ek jurm-e-guftugu ki tarah

    tere visal ki KHushbu tere firaq ka rang

    mera wajud hai ek shahr-e-rang-o-bu ki tarah

    hamein bhi dekh ki hum zindagi ke sahra mein

    khile hue hain kisi zaKHm-e-arzu ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now