Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

Chaman Bhatnagar

jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

Chaman Bhatnagar

MORE BYChaman Bhatnagar

    jo dil par bojh hai yārab zarā bhī kam nahīñ hotā

    zamāna ġham to detā hai sharīk-e-ġham nahīñ hotā

    ḳhazāna ilm hai lā-zavāl aisā zamāne meñ

    jise bāñTo to baḌhtā hai pa hargiz kam nahīñ hotā

    hamārā sar banā hai dosto ik ḳhaas miTTī se

    kisī zālim chaukhaT par kabhī ye ḳham nahīñ hotā

    zahe-qismat ḳhudā ne zabt tāqat mujhe hai

    haqīqat meñ mirā ashkoñ se dāman nam nahīñ hotā

    hazāroñ āfateñ ham ne sahīñ mahbūb ḳhātir

    magar īsār jazba zarā bhī kam nahīñ hotā

    pahuñch saktā nahīñ vo apnī manzil pe kisī sūrat

    vo bad-qismat musāfir jis meñ kuchh dam-ḳham nahīñ hotā

    zarā baat par āmāda ho jaa.e jo laḌne par

    pujārī vo ahinsā chaman gautam nahīñ hotā

    jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

    zamana gham to deta hai sharik-e-gham nahin hota

    KHazana ilm ka hai la-zawal aisa zamane mein

    jise banTo to baDhta hai pa hargiz kam nahin hota

    hamara sar bana hai dosto ek KHas miTTi se

    kisi zalim ki chaukhaT par kabhi ye KHam nahin hota

    zahe-qismat KHuda ne zabt ki taqat mujhe di hai

    haqiqat mein mera ashkon se daman nam nahin hota

    hazaron aafaten hum ne sahin mahbub ki KHatir

    magar isar ka jazba zara bhi kam nahin hota

    pahunch sakta nahin wo apni manzil pe kisi surat

    wo bad-qismat musafir jis mein kuchh dam-KHam nahin hota

    zara si baat par aamada ho jae jo laDne par

    pujari wo ahinsa ka chaman gautam nahin hota

    Source:

    Ek Shayar Ek Gazal (Series-II) (Pg. E-13 B-12)

    • Author: Saeed Rahmani
      • Edition: 2007
      • Publisher: Akhbar-e-Odihsa Publications, Cuttack
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now