Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho

Dagh Dehlvi

jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    jo dil qaabū meñ ho to koī rusvā-e-jahāñ kyuuñ ho

    ḳhalish kyuuñ ho tapish kyuuñ ho qalaq kyuuñ ho fuġhāñ kyuuñ ho

    mazā aatā nahīñ tham tham ke ham ko ranj-o-rāhat

    ḳhushī ho ġham ho jo kuchh ho ilāhī nā-gahāñ kyuuñ ho

    ye misra' likh diyā zālim ne merī lauh-e-turbat par

    jo ho furqat betābī to yuuñ ḳhvāb-e-girāñ kyuuñ ho

    hamesha aadmī aadmī ġham-ḳhvār hotā hai

    yahī be-e'tibārī ho to koī rāzdāñ kyuuñ ho

    bahut nikleñge roz-e-hashr tere jaur ke ḳhvāhāñ

    sitam hausla duniyā meñ sarf-e-imtihāñ kyuuñ ho

    ġhazab aayā sitam TuuTā qayāmat ho ga.ī barpā

    ye pūchhā thā ki tum āzurda mujh se merī jaañ kyuuñ ho

    unhīñ ko ranjish-e-bejā hai lekin hai to ham se hai

    mohabbat gar na ho bāham shikāyat darmiyāñ kyuuñ ho

    ga.e Thukrā ke mujh ko aur phir kahte ga.e ye bhī

    nasīb-e-dushmanāñ to pā.emāl-e-āsmāñ kyuuñ ho

    na.ī tākīd hai zabt-e-mohabbat vo kahte haiñ

    jigar ho to fuġhāñ kyuuñ ho dahan ho to zabāñ kyuuñ ho

    sharīk-e-daur-e-mai bazm-e-adū meñ ḳhaak hote ham

    kisī ne rāt-bhar itnā na pūchhā tum yahāñ kyuuñ ho

    tahammul kar sake kyā husn-e-nāzuk un nigāhoñ

    use maiñ ne chhupāyā hai vagarna vo nihāñ kyuuñ ho

    ḳhudā shāhid ḳhudā shāhid hai kyuuñ kahte ho vā'doñ par

    ḳhudā ko kyā ġharaz mere tumhāre darmiyāñ kyuuñ ho

    jigar se kam nahīñ ai chāragar dāġh-e-jigar mujh ko

    jo paidā ho mar mar ke vo daulat rā.egāñ kyuuñ ho

    naved-e-jāñ-fizā hai kyā ḳhabar qātil ke aane

    batāo to sahī tum 'dāġh' aise shādmāñ kyuuñ ho

    jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho

    KHalish kyun ho tapish kyun ho qalaq kyun ho fughan kyun ho

    maza aata nahin tham tham ke hum ko ranj-o-rahat ka

    KHushi ho gham ho jo kuchh ho ilahi na-gahan kyun ho

    ye misra' likh diya zalim ne meri lauh-e-turbat par

    jo ho furqat ki betabi to yun KHwab-e-giran kyun ho

    hamesha aadmi ka aadmi gham-KHwar hota hai

    yahi be-e'tibari ho to koi raazdan kyun ho

    bahut niklenge roz-e-hashr tere jaur ke KHwahan

    sitam ka hausla duniya mein sarf-e-imtihan kyun ho

    ghazab aaya sitam TuTa qayamat ho gai barpa

    ye puchha tha ki tum aazurda mujh se meri jaan kyun ho

    unhin ko ranjish-e-beja hai lekin hai to hum se hai

    mohabbat gar na ho baham shikayat darmiyan kyun ho

    gae Thukra ke mujh ko aur phir kahte gae ye bhi

    nasib-e-dushmanan to paemal-e-asman kyun ho

    nai takid hai zabt-e-mohabbat ki wo kahte hain

    jigar ho to fughan kyun ho dahan ho to zaban kyun ho

    sharik-e-daur-e-mai bazm-e-adu mein KHak hote hum

    kisi ne raat-bhar itna na puchha tum yahan kyun ho

    tahammul kar sake kya husn-e-nazuk un nigahon ka

    use main ne chhupaya hai wagarna wo nihan kyun ho

    KHuda shahid KHuda shahid hai kyun kahte ho wa'don par

    KHuda ko kya gharaz mere tumhaare darmiyan kyun ho

    jigar se kam nahin ai chaaragar dagh-e-jigar mujh ko

    jo paida ki ho mar mar ke wo daulat raegan kyun ho

    nawed-e-jaan-fiza hai kya KHabar qatil ke aane ki

    batao to sahi tum 'dagh' aise shadman kyun ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now