Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo gai humse ruTh kar aawaz

Irshad Aziz

jo gai humse ruTh kar aawaz

Irshad Aziz

MORE BYIrshad Aziz

    jo ga.ī ham se ruuTh kar āvāz

    haa.e kitnī thī mo'atabar āvāz

    shor duniyā sunte phirte haiñ

    dil suntā nahīñ magar āvāz

    us āvāz meñ thā ik jaadū

    koī laa.e vo DhūñD kar āvāz

    ek saaya idhar se guzrā hai

    vo ga.ī hai abhī udhar āvāz

    ham ne sun kar ke ye dekhā hai

    ab bhī kartī hai vo asar āvāz

    ḳhuun ke ashk vo rulātī hai

    us suniye to Duub kar āvāz

    ek ḳhāmoshī de ga.ī ham ko

    vo jo sunte the khāñs kar āvāz

    us mātam manā.eñ ham chāhe

    ab na aa.egī lauT kar āvāz

    aur sab log shor karte rahe

    sirf ham ne muḳhtasar āvāz

    jo gai hum se ruTh kar aawaz

    hae kitni thi mo'atabar aawaz

    shor duniya ka sunte phirte hain

    dil ki sunta nahin magar aawaz

    us ki aawaz mein tha ek jadu

    koi lae wo DhunD kar aawaz

    ek saya idhar se guzra hai

    wo gai hai abhi udhar aawaz

    hum ne sun kar ke ye hi dekha hai

    ab bhi karti hai wo asar aawaz

    KHun ke ashk wo rulati hai

    us ki suniye to Dub kar aawaz

    ek KHamoshi de gai hum ko

    wo jo sunte the khans kar aawaz

    us ka matam manaen hum chahe

    ab na aaegi lauT kar aawaz

    aur sab log shor karte rahe

    sirf hum ne di muKHtasar aawaz

    Source :
    • Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 137)
    • Author : ارشاد عزیز
    • Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now