Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae

Hasan Naim

jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    jo ġham ke sho.aloñ se bujh ga.e the ham un ke dāġhoñ haar laa.e

    kisī ke ghar se diyā uThāyā kisī ke dāman taar laa.e

    ye kohsāroñ tarbiyat hai ki apnā ḳhema jamā huā hai

    hazār tūfāñ sināñ chalā.e hazār fauj-e-ġhubār laa.e

    kise batā.eñ ki ġham ke sahrā ko ḳhuld-dānish banāyā kaise

    kahāñ se āb-e-ravāñ ko moḌā kahāñ se bād-e-bahār laa.e

    har ek rāh-e-junūñ se guzre har ek manzil se kuchh uThāyā

    kahīñ se dāman meñ ġham sameTā kahīñ se jholī meñ pyaar laa.e

    ḳhalā ke māthe pe ek biñdī na jaane kab se chamak rahī thī

    use bhī farq-e-zamīñ ḳhātir havā meñ uḌ kar utaar laa.e

    jo apnī duniyā basā chukā hai use bhī mushkil sāmnā hai

    kahāñ se shams-o-qamar ugaa.e kahāñ se lail-o-nahār laa.e

    vahī shabāhat vahī adā.eñ magar vo lagtā hai ġhair jaisā

    'na.īm' yādoñ anjuman meñ na jaane kis ko pukār laa.e

    jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae

    kisi ke ghar se diya uThaya kisi ke daman ka tar lae

    ye kohsaron ki tarbiyat hai ki apna KHema jama hua hai

    hazar tufan sinan chalae hazar fauj-e-ghubar lae

    kise bataen ki gham ke sahra ko KHuld-danish banaya kaise

    kahan se aab-e-rawan ko moDa kahan se baad-e-bahaar lae

    har ek rah-e-junun se guzre har ek manzil se kuchh uThaya

    kahin se daman mein gham sameTa kahin se jholi mein pyar lae

    KHala ke mathe pe ek bindi na jaane kab se chamak rahi thi

    use bhi farq-e-zamin ki KHatir hawa mein uD kar utar lae

    jo apni duniya basa chuka hai use bhi mushkil ka samna hai

    kahan se shams-o-qamar ugae kahan se lail-o-nahaar lae

    wahi shabahat wahi adaen magar wo lagta hai ghair jaisa

    'naim' yaadon ki anjuman mein na jaane kis ko pukar lae

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 197)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now