Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo hath apne sabze ka ghoDa laga

Insha Allah Khan Insha

jo hath apne sabze ka ghoDa laga

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    jo haath apne sabze ghoḌā lagā

    to sulfe aur us ko koḌā lagā

    mire jo baazū meñ ik niil

    so tere hai paañv toḌā lagā

    ajī chashm-e-bad-dūr nām-e-ḳhudā

    tumheñ kyā bhalā surḳh joḌā lagā

    bhalā aap sharmā.e kis vāste

    kabūtar bāham jo joḌā lagā

    ye dukhtī nigāhoñ se ghūrā mujhe

    ki dukhne mire dil phoḌā lagā

    lagī kahne 'inshā' ko shab vo parī

    mujhe bhuut ho ye nigoḌā lagā

    jo hath apne sabze ka ghoDa laga

    to sulfe ka aur us ko koDa laga

    mere hi jo bazu mein ek nil sa

    so tere hai panw ka toDa laga

    aji chashm-e-bad-dur nam-e-KHuda

    tumhein kya bhala surKH joDa laga

    bhala aap sharmae kis waste

    kabutar ka baham jo joDa laga

    ye dukhti nigahon se ghura mujhe

    ki dukhne mere dil ka phoDa laga

    lagi kahne 'insha' ko shab wo pari

    mujhe bhut ho ye nigoDa laga

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 17)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now