aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin

Qadr Bilgrami

jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin

Qadr Bilgrami

MORE BYQadr Bilgrami

    jo hai arsh par vahī farsh par koī ḳhaas us makāñ nahīñ

    vo yahāñ bhī hai vo vahāñ bhī hai vo kahīñ nahīñ vo kahāñ nahīñ

    ye nasīb tere shahīd ki kamāl-e-shauq thā diid

    jo gilā bhī hai to vo tar nahīñ jo chhurī bhī har to ravāñ nahīñ

    maiñ vo sarv-e-bāġh-e-vajūd huuñ maiñ vo gul huuñ sham-e-hayāt

    jise fasl-e-gul ḳhushī nahīñ jise rañj-e-bād-e-ḳhizāñ nahīñ

    jo uThe to siina ubhār kar jo chale to Thokareñ maar kar

    na.e aap to javān haiñ koī kyā jahāñ meñ javāñ nahīñ

    kidhar uḌ gayā mirā qāfila ki zamīn phaT ke samā gayā

    na ġhubār uThā na jaras bajā kahīñ naqsh-e-pā nishāñ nahīñ

    ye mai-e-farñg kashtiyāñ bhī safīna-hā-e-najāt haiñ

    kabhī us beḌā na paar ho jo murīd-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ

    uTho 'qadr' un pe na jaan do ajī jaan hai to jahān hai

    koī kaam aisā bhī kartā hai are miyāñ nahīñ are miyāñ nahīñ

    jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin

    wo yahan bhi hai wo wahan bhi hai wo kahin nahin wo kahan nahin

    ye nasib tere shahid ka ki kamal-e-shauq tha did ka

    jo gila bhi hai to wo tar nahin jo chhuri bhi har to rawan nahin

    main wo sarw-e-bagh-e-wajud hun main wo gul hun sham-e-hayat ka

    jise fasl-e-gul ki KHushi nahin jise ranj-e-baad-e-KHizan nahin

    jo uThe to sina ubhaar kar jo chale to Thokaren mar kar

    nae aap hi to jawan hain koi kya jahan mein jawan nahin

    kidhar uD gaya mera qafila ki zamin phaT ke sama gaya

    na ghubar uTha na jaras baja kahin naqsh-e-pa ka nishan nahin

    ye mai-e-farng ki kashtiyan bhi safina-ha-e-najat hain

    kabhi us ka beDa na par ho jo murid-e-pir-e-mughan nahin

    uTho 'qadr' un pe na jaan do aji jaan hai to jahan hai

    koi kaam aisa bhi karta hai are miyan nahin are miyan nahin

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-9) (Pg. 362)

      • Edition: 1983
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now