jo hai mere dil mein chhupana nahin hai
jo hai mere dil meñ chhupānā nahīñ hai
magar saaf tum ko batānā nahīñ hai
hamārā pata jaan kar kyā karoge
tumheñ lauT kar ab jab aanā nahīñ hai
mujhe bech kar ġham kamānī hai daulat
mire paas koī ḳhazāna nahīñ hai
lagāo na ummīd mujh se ziyāda
mirā koī ḳhud kā Thikānā nahīñ hai
paḌe rahne do mujh ko ujḌe chaman meñ
mujhe apne ghar ko basānā nahīñ hai
ḳhatā dil ne kī hai to dil apnā bhugte
hameñ phephḌoñ ko jalānā nahīñ hai
gale lag ke kyoñ ro rahe ho musalsal
jo 'hassām' ko kuchh batānā nahīñ hai
jo hai mere dil mein chhupana nahin hai
magar saf tum ko batana nahin hai
hamara pata jaan kar kya karoge
tumhein lauT kar ab jab aana nahin hai
mujhe bech kar gham kamani hai daulat
mere pas koi KHazana nahin hai
lagao na ummid mujh se ziyaada
mera koi KHud ka Thikana nahin hai
paDe rahne do mujh ko ujDe chaman mein
mujhe apne ghar ko basana nahin hai
KHata dil ne ki hai to dil apna bhugte
hamein phephDon ko jalana nahin hai
gale lag ke kyon ro rahe ho musalsal
jo 'hassam' ko kuchh batana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.