jo hamara hai hamein jaan se pyara Thahra
jo hamārā hai hameñ jaan se pyārā Thahrā
hū-ba-hū chāñd sitāroñ kā utārā Thahrā
kaun Thahrā hai yahāñ kaun bhalā Thahregā
maiñ uphantī huī naddī kā kināra Thahrā
dekh sakte hue bhī dekh nahīñ saktā maiñ
jis ko dekhūñ huuñ tire husn kā maarā Thahrā
ham ise chhoḌ ke tujh paas ab aa.eñ kaise
sar-e-ā.īna dil-āvez nazāra Thahrā
jo kisī taur mohabbat kā bharam rakhnā hai
to ye āzār-e-rifāqat bhī gavāra Thahrā
kyā hai tā-hadd-e-nazar ek bhañvar hai ġham kā
dil kī kashtī ko tabassum kā sahārā Thahrā
jo hamara hai hamein jaan se pyara Thahra
hu-ba-hu chand sitaron ka utara Thahra
kaun Thahra hai yahan kaun bhala Thahrega
main uphanti hui naddi ka kinara Thahra
dekh sakte hue bhi dekh nahin sakta main
jis ko dekhun hun tere husn ka mara Thahra
hum ise chhoD ke tujh pas ab aaen kaise
sar-e-aina dil-awez nazara Thahra
jo kisi taur mohabbat ka bharam rakhna hai
to ye aazar-e-rifaqat bhi gawara Thahra
kya hai ta-hadd-e-nazar ek bhanwar hai gham ka
dil ki kashti ko tabassum ka sahaara Thahra
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 58)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.