Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo hijr maine saha hai us ka hisab aata to mar na jata

Mirza Raahil

jo hijr maine saha hai us ka hisab aata to mar na jata

Mirza Raahil

MORE BYMirza Raahil

    jo hijr maiñ ne sahā hai us hisāb aatā to mar na jaatā

    phir kabhī jo kahīñ achānak visāl paatā to mar na jaatā

    vo bevafā thā magar vo ehsās jāntā thā so chup rahā maiñ

    maiñ us ke va.ade usī qasmeñ use sunātā to mar na jaatā

    maiñ chand tasvīr ḳhat purāne liye abhī tak to rahā huuñ

    agar maiñ un ko kabhī jalātā tumheñ bhulātā to mar na jaatā

    vo ik sahāfī jo sach ko likhte na.ī hukūmat se Dar gayā thā

    ḳhilāf ho kar vahī hukūmat ko sach dikhātā to mar na jaatā

    vo hijr terā vo din ġharībī ke aur logoñ jaan khonā

    maiñ in havādis se bach gayā huuñ jo marnā aatā to mar na jaatā

    jo hijr main ne saha hai us ka hisab aata to mar na jata

    ya phir kabhi jo kahin achanak visal pata to mar na jata

    wo bewafa tha magar wo ehsas jaanta tha so chup raha main

    main us ke wade usi ki qasmen use sunata to mar na jata

    main chand taswir KHat purane liye abhi tak to ji raha hun

    agar main un ko kabhi jalata tumhein bhulata to mar na jata

    wo ek sahafi jo sach ko likhte nai hukumat se Dar gaya tha

    KHilaf ho kar wahi hukumat ko sach dikhata to mar na jata

    wo hijr tera wo din gharibi ke aur logon ka jaan khona

    main in hawadis se bach gaya hun jo marna aata to mar na jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now