jo ho na pai usi baat ki kahani hai
jo ho na paa.ī usī baat kī kahānī hai
ye merī us kī mulāqāt kī kahānī hai
mire badan ko jo dīmak lagī to kaise lagī
sab intizār ke lamhāt kī kahānī hai
gharoñ kī baat alag hai vahāñ pe ḳhushbū hai
ye rūkhe sūkhe makānāt kī kahānī hai
hazār rātoñ pe ye phailtī ga.ī āḳhir
tumheñ lagā thā bas ik raat kī kahānī hai
kahīñ pe jashn bapā hai kisī kī aamad kā
kisī ke āḳhirī lamhāt kī kahānī hai
'ajīb baat hai maiñ ḳhud bhī paḌh nahīñ saktā
na jaane kaisī mirī zaat kī kahānī hai
jo ho na pai usi baat ki kahani hai
ye meri us ki mulaqat ki kahani hai
mere badan ko jo dimak lagi to kaise lagi
sab intizar ke lamhat ki kahani hai
gharon ki baat alag hai wahan pe KHushbu hai
ye rukhe sukhe makanat ki kahani hai
hazar raaton pe ye phailti gai aaKHir
tumhein laga tha bas ek raat ki kahani hai
kahin pe jashn bapa hai kisi ki aamad ka
kisi ke aaKHiri lamhat ki kahani hai
'ajib baat hai main KHud bhi paDh nahin sakta
na jaane kaisi meri zat ki kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.