Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo hua qadd-e-kashida ka mariz

Shad Lakhnavi

jo hua qadd-e-kashida ka mariz

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    jo huā qadd-e-kashīda marīz

    vo huā sū-e-lahad lambā marīz

    baal se bārīk jism-e-zār hai

    luT gayā hai zulf aisā marīz

    vo hai bīmarī-e-ulfat lā-'ilāj

    jis 'iisā se na ho achchhā marīz

    sharbat-e-unnāb-e-lab mumkin nahīñ

    be-davā-dārū huuñ maiñ martā marīz

    vo lagā ik pal meñ āñkheñ māñgne

    jis ko us chashm dekhā marīz

    gaah kholīñ gaah āñkheñ band kiiñ

    ġhash huā gah hosh meñ aayā marīz

    ho jo mumkin bosa-e-seb-e-zaqan

    bahr-e-tāqat aur khaa.e kyā marīz

    kohkan naam le kar vo piye

    āb-e-shīrīñ ho jo pyāsā marīz

    surḳh Dorā us āñkhoñ meñ nahīñ

    pahne haiñ naaḌe ye ganDā marīz

    is chaman ye havā nā-sāz hai

    nargis-e-shahlā ko bhī paayā marīz

    vo masīhā baam par hai jalva-gar

    aur uupar hai dam bhartā marīz

    'shād' ro ġhurbat pe us bīmār

    karbalā se shaam jo pahuñchā marīz

    jo hua qadd-e-kashida ka mariz

    wo hua su-e-lahad lamba mariz

    baal se barik jism-e-zar hai

    luT gaya hai zulf ka aisa mariz

    wo hai bimari-e-ulfat la-'ilaj

    jis ka 'isa se na ho achchha mariz

    sharbat-e-unnab-e-lab mumkin nahin

    be-dawa-daru hun main marta mariz

    wo laga ek pal mein aankhen mangne

    jis ko us ki chashm ka dekha mariz

    gah kholin gah aankhen band kin

    ghash hua gah hosh mein aaya mariz

    ho jo mumkin bosa-e-seb-e-zaqan

    bahr-e-taqat aur khae kya mariz

    kohkan ka nam le kar wo piye

    aab-e-shirin ka ho jo pyasa mariz

    surKH Dora us ki aankhon mein nahin

    pahne hain naDe ka ye ganDa mariz

    is chaman ki ye hawa na-saz hai

    nargis-e-shahla ko bhi paya mariz

    wo masiha baam par hai jalwa-gar

    aur upar ka hai dam bharta mariz

    'shad' ro ghurbat pe us bimar ki

    karbala se sham jo pahuncha mariz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now