Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo iKHtilaf nahin hai to etiraf to ho

Mehboob Rahi

jo iKHtilaf nahin hai to etiraf to ho

Mehboob Rahi

MORE BYMehboob Rahi

    jo iḳhtilāf nahīñ hai to e'tirāf to ho

    hai iḳhtilāf to kuchh vaj.h-e-iḳhtilāf to ho

    diloñ meñ kyā hai kuchh is atā-patā to chale

    ki baat jaisī ho jo bhī ho saaf saaf to ho

    kuchh us se rabt-o-ta.alluq silsila to lage

    nahīñ hai vo jo muāfiq na ho ḳhilāf to ho

    nahīñ burā.ī miTāne gar hameñ taufīq

    kam-az-kam us se tanaffur to inhirāf to ho

    nahīñ sa.ādat-e-sajda agar muqaddar meñ

    ḳhulūs se dar-e-ma.abūd tavāf to ho

    vo ahl-e-naqd-o-basīrat haiñ ḳhair hoñge bhī

    durust pahle magar un shīn-qāf to ho

    na hoñ jo sher haqā.eq ke tarjumāñ 'rāhī'

    haqīqatoñ magar un se inkishāf to ho

    jo iKHtilaf nahin hai to e'tiraf to ho

    hai iKHtilaf to kuchh wajh-e-iKHtilaf to ho

    dilon mein kya hai kuchh is ka ata-pata to chale

    ki baat jaisi ho jo bhi ho saf saf to ho

    kuchh us se rabt-o-talluq ka silsila to lage

    nahin hai wo jo muafiq na ho KHilaf to ho

    nahin burai miTane ki gar hamein taufiq

    kam-az-kam us se tanaffur to inhiraf to ho

    nahin saadat-e-sajda agar muqaddar mein

    KHulus se dar-e-mabud ka tawaf to ho

    wo ahl-e-naqd-o-basirat hain KHair honge bhi

    durust pahle magar un ka shin-qaf to ho

    na hon jo sher haqaeq ke tarjuman 'rahi'

    haqiqaton ka magar un se inkishaf to ho

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 165)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now