Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar

Anwar Kaifi

jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar

Anwar Kaifi

MORE BYAnwar Kaifi

    jo kar rahe the zamāne se gumrahī safar

    unhīñ ke naam kiyā haq ne bandagī safar

    jahāñ pe log añdhere sajā.e baiThe the

    vahāñ pe aaj bhī jaarī hai raushnī safar

    abhī hai vaqt sambhal jaao ai jahāñ vaalo

    kahīñ tamām na ho jaa.e aadmī safar

    maiñ apnī zaat hissa jise samajhtā huuñ

    mire ḳhudā hai baḳhshish vo āgahī safar

    usī saath ḳhudāyā mujhe mayassar ho

    mohabbatoñ rifāqat zindagī safar

    ye ek kāhkashāñ nahīñ mirī manzil

    ki us ke ba.ad bhī baaqī hai raushnī safar

    jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar

    unhin ke nam kiya haq ne bandagi ka safar

    jahan pe log andhere sajae baiThe the

    wahan pe aaj bhi jari hai raushni ka safar

    abhi hai waqt sambhal jao ai jahan walo

    kahin tamam na ho jae aadmi ka safar

    main apni zat ka hissa jise samajhta hun

    mere KHuda ki hai baKHshish wo aagahi ka safar

    usi ka sath KHudaya mujhe mayassar ho

    mohabbaton ka rifaqat ka zindagi ka safar

    ye ek kahkashan hi nahin meri manzil

    ki us ke baad bhi baqi hai raushni ka safar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now