Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

Musavvir Sabzwari

jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    jo ḳhas-e-badan thā jalā bahut ka.ī nik.hatoñ talāsh meñ

    maiñ tamām logoñ se mil chukā tirī qurbatoñ talāsh meñ

    tirī aañkh se mirī aañkh tak faqat ek manzar-e-ḳhāk hai

    vahī shām-e-tīra-sarisht milī muddatoñ talāsh meñ

    koī ḳhvāb sar se pare rahā ye safar sarāb-e-safar rahā

    maiñ shanāḳht apnī gañvā chukā ga.ī sūratoñ talāsh meñ

    ye jo jhāñktī hai nafas nafas koī mauj-e-ḳhūñ uThī huī

    bane zindagī na qatl-gah kahīñ vahshatoñ talāsh meñ

    mire zaḳhm ab siyegā kyā mire āñ.suoñ ko piyegā kyā

    tire zā.iqe badal ga.e na.ī lazzatoñ talāsh meñ

    jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

    main tamam logon se mil chuka teri qurbaton ki talash mein

    teri aankh se meri aankh tak faqat ek manzar-e-KHak hai

    wahi sham-e-tira-sarisht si mili muddaton ki talash mein

    koi KHwab sar se pare raha ye safar sarab-e-safar raha

    main shanaKHt apni ganwa chuka gai suraton ki talash mein

    ye jo jhankti hai nafas nafas koi mauj-e-KHun si uThi hui

    bane zindagi ki na qatl-gah kahin wahshaton ki talash mein

    mere zaKHm ab tu siyega kya mere aansuon ko piyega kya

    tere zaiqe hi badal gae nai lazzaton ki talash mein

    Source:

    dahliiz per utartii shaam (Pg. 21)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now