Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo KHush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke

israr Kafeel

jo KHush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke

israr Kafeel

MORE BYisrar Kafeel

    jo ḳhush huā hai charāġhoñ sar qalam kar ke

    chalā na jaa.e mohabbat ko kal-adam kar ke

    use talāsh na.e manzaroñ rahtī hai

    ujāle laayā hai tārīkiyoñ meñ zam kar ke

    havā tarah talavvun shi'ār thā to sahī

    magar vo shaḳhs gayā faisle raqam kar ke

    hamāre ḳhvāb añdheroñ ke yarġhamālī haiñ

    sipāh-e-shab ko sar-e-shām be-alam kar ke

    anā ke peḌ pe shāyad samar malāl ho

    zarā dekh to luuñ rābte baham kar ke

    havā meñ tairte rahte haiñ aur rukte nahīñ

    ye kis ne chhoḌ diyā jugnuoñ ko ram kar ke

    'kafīl' le ke koī muzhda-e-sahāb aayā

    jab aag chukī sab āshiyāñ bhasam kar ke

    jo KHush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke

    chala na jae mohabbat ko kal-adam kar ke

    use talash nae manzaron ki rahti hai

    ujale laya hai tarikiyon mein zam kar ke

    hawa ki tarah talawwun shi'ar tha to sahi

    magar wo shaKHs gaya faisle raqam kar ke

    hamare KHwab andheron ke yarghamali hain

    sipah-e-shab ko sar-e-sham be-alam kar ke

    ana ke peD pe shayad samar malal ka ho

    zara sa dekh to lun rabte baham kar ke

    hawa mein tairte rahte hain aur rukte nahin

    ye kis ne chhoD diya jugnuon ko ram kar ke

    'kafil' le ke koi muzhda-e-sahab aaya

    jab aag ja chuki sab aashiyan bhasam kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now