Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mal usne sameTa tha wo bhi sara gaya

Syed Anwar Ahmad

jo mal usne sameTa tha wo bhi sara gaya

Syed Anwar Ahmad

MORE BYSyed Anwar Ahmad

    jo maal us ne sameTā thā vo bhī saarā gayā

    vo ḳhvāhishoñ ke tasādum meñ aaj maarā gayā

    ḳhumār-e-ishq ġhārat-garī hai donoñ taraf

    hamārī umr ga.ī aur sukūñ tumhārā gayā

    biphartī mauj ke aage ye kis ko yaad rahā

    kahāñ pe naav ga.ī aur kahāñ kinārā gayā

    bas ek jaan bachī hai chalo nisār kareñ

    sunā hai naam hamārā phir pukārā gayā

    zamīñ pe us ḳhabar hai koī na hai parvā

    falak se TuuT gayā to kahāñ sitārā gayā

    sabā ke haath shab-e-hijr ke guzarte

    tumhārī samt meñ ashkoñ goshvārā gayā

    vo peḌ TuuT gayā to mujhe kuchh aisā lagā

    ki jaise apnī mohabbat isti.ārā gayā

    har ek naqsh tirī yaad se munavvar thā

    maiñ apne maazī meñ kal raat jab dobāra gayā

    jo mal us ne sameTa tha wo bhi sara gaya

    wo KHwahishon ke tasadum mein aaj mara gaya

    KHumar-e-ishq ki ghaarat-gari hai donon taraf

    hamari umr gai aur sukun tumhaara gaya

    bipharti mauj ke aage ye kis ko yaad raha

    kahan pe naw gai aur kahan kinara gaya

    bas ek jaan bachi hai chalo nisar karen

    suna hai nam hamara hi phir pukara gaya

    zamin pe us ki KHabar hai koi na hai parwa

    falak se TuT gaya to kahan sitara gaya

    saba ke hath shab-e-hijr ke guzarte hi

    tumhaari samt mein ashkon ka goshwara gaya

    wo peD TuT gaya to mujhe kuchh aisa laga

    ki jaise apni mohabbat ka istiara gaya

    har ek naqsh teri yaad se munawwar tha

    main apne mazi mein kal raat jab dobara gaya

    Source :
    • Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 118)
    • Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
    • Publication : Jahangir Books (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now