jo matlab ki nahin wo shai luTera chhoD jata hai
jo matlab kī nahīñ vo shai luTerā chhoḌ jaatā hai
apāhij baap ho jaa.e to beTā chhoḌ jaatā hai
ab aise shah-jahāñ to ham nahīñ jo taaj banvā.eñ
hamāre ḳhvāb meñ ye kaun naqsha chhoḌ jaatā hai
koī insān se baḌh kar nahīñ zālim zamāne meñ
darinda bhī use dekhe to rasta chhoḌ jaatā hai
kahīñ dañge bhaḌakte haiñ kahīñ hotā hai hangāma
vo aatā hai to ik shosha hamesha chhoḌ jaatā hai
tabāhī baad meñ aatī hai jaatā hai 'vaqār' avval
hamesha shaam se pahle hī saaya chhoḌ jaatā hai
jo matlab ki nahin wo shai luTera chhoD jata hai
apahij bap ho jae to beTa chhoD jata hai
ab aise shah-jahan to hum nahin jo taj banwaen
hamare KHwab mein ye kaun naqsha chhoD jata hai
koi insan se baDh kar nahin zalim zamane mein
darinda bhi use dekhe to rasta chhoD jata hai
kahin dange bhaDakte hain kahin hota hai hangama
wo aata hai to ek shosha hamesha chhoD jata hai
tabahi baad mein aati hai jata hai 'waqar' awwal
hamesha sham se pahle hi saya chhoD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.