Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon

Muhammad Fiaz Hasrat

jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon

Muhammad Fiaz Hasrat

MORE BYMuhammad Fiaz Hasrat

    jo maut hai zindagī ke pīchhe to maut ke pīchhe zindagī kyoñ

    ġhamī ke pīchhe bhī gar ḳhushī hai ḳhushī ke pīchhe hai phir ġhamī kyoñ

    ye nafrateñ ye kudūrateñ kyoñ haiñ aage sīrat se sūrateñ kyoñ

    yahāñ haiñ maujūd ab bhī insāñ phir ādamiyat bandagī kyoñ

    ye uljhaneñ kyoñ ye dard-o-ġham kyoñ ye mushkileñ kyoñ ye Thokareñ kyoñ

    milī to haiñ be-shumār chīzeñ phir in ke badle bas ik ḳhushī kyoñ

    ye bhī samajhne se huuñ maiñ qāsir ki aadmī kyoñ huā hai bartar

    koī batā.e ki aadmī se yahāñ har ik shai hai qīmtī kyoñ

    bas ek sham.a jal rahī thī huā thā saarā chaman ye raushan

    haiñ jal rahī ab hazār sham.eñ chaman meñ hai phir bhī tīrgī kyoñ

    har ek hasrat ye jāntā hai milegī mushkil ke baad rāhat

    to baad mushkil ke bārhā yaañ paḌā hai mushkil meñ aadmī kyoñ

    jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon

    ghami ke pichhe bhi gar KHushi hai KHushi ke pichhe hai phir ghami kyon

    ye nafraten ye kuduraten kyon hain aage sirat se suraten kyon

    yahan hain maujud ab bhi insan phir aadamiyat ki bandagi kyon

    ye uljhanen kyon ye dard-o-gham kyon ye mushkilen kyon ye Thokaren kyon

    mili to hain be-shumar chizen phir in ke badle bas ek KHushi kyon

    ye bhi samajhne se hun main qasir ki aadmi kyon hua hai bartar

    koi batae ki aadmi se yahan har ek shai hai qimti kyon

    bas ek hi shama jal rahi thi hua tha sara chaman ye raushan

    hain jal rahi ab hazar shamen chaman mein hai phir bhi tirgi kyon

    har ek hasrat ye jaanta hai milegi mushkil ke baad rahat

    to baad mushkil ke barha yan paDa hai mushkil mein aadmi kyon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now