Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se

Shamim Karhani

jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    jo mil ga.ī haiñ nigāheñ kabhī nigāhoñ se

    guzar ga.ī hai mohabbat hasīn rāhoñ se

    charāġh jal ke agar bujh gayā to kyā hogā

    mujhe na dekh mohabbat bharī nigāhoñ se

    balā-kashoñ añdherī galī ko kyā jaane

    vo zindagī jo guzartī hai shāh-rāhoñ se

    laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī lagā.ī jā.egī

    diloñ baat kahī jā.egī nigāhoñ se

    idhar kahā ki na chhūTe savāb jaada

    udhar sajā bhī diyā raah ko gunāhoñ se

    fazā-e-mai-kada-e-dil-kushā meñ aa.ī hai

    hayāt ghuT ke jo niklī hai ḳhānqāhoñ se

    mirī nazar taqāzā kuchh aur thā ai dost

    milā na kuchh mah o anjum jalva-gāhoñ se

    ḳhizāñ vādi-e-ġhurbat guzār leñ to 'shamīm'

    mileñ dayār-e-bahārāñ ke kaj-kulāhoñ se

    jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se

    guzar gai hai mohabbat hasin rahon se

    charagh jal ke agar bujh gaya to kya hoga

    mujhe na dekh mohabbat bhari nigahon se

    bala-kashon ki andheri gali ko kya jaane

    wo zindagi jo guzarti hai shah-rahon se

    labon pe mohr-e-KHamoshi lagai jaegi

    dilon ki baat kahi jaegi nigahon se

    idhar kaha ki na chhuTe sawab ka jada

    udhar saja bhi diya rah ko gunahon se

    faza-e-mai-kada-e-dil-kusha mein aai hai

    hayat ghuT ke jo nikli hai KHanqahon se

    meri nazar ka taqaza kuchh aur tha ai dost

    mila na kuchh mah o anjum ki jalwa-gahon se

    KHizan ki wadi-e-ghurbat guzar len to 'shamim'

    milen dayar-e-bahaaran ke kaj-kulahon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now