jo mil gaya usi ke sath ho gae
jo mil gayā usī ke saath ho ga.e
so 'ishq meñ junūñ-sifāt ho ga.e
najāt mil ga.ī hisāb se hameñ
tumheñ ghaTā ke sifr-zāt ho ga.e
jo chāhte the vo navīd mil ga.ī
mare hue the ham hayāt ho ga.e
vo āsmāñ ke ḳhvāb bāñTne lagā
zamīñ ke log us ke saath ho ga.e
zarā se lams se dhanak bikhar ga.ī
tamām rang be-jihāt ho ga.e
jo mil gaya usi ke sath ho gae
so 'ishq mein junun-sifat ho gae
najat mil gai hisab se hamein
tumhein ghaTa ke sifr-zat ho gae
jo chahte the wo nawid mil gai
mare hue the hum hayat ho gae
wo aasman ke KHwab banTne laga
zamin ke log us ke sath ho gae
zara se lams se dhanak bikhar gai
tamam rang be-jihat ho gae
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 71)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.