jo meri dhaDkanon mein palta hai
jo mirī dhaḌkanoñ meñ paltā hai
mausamoñ kī tarah badaltā hai
qurb ke sehr meñ vo jān-e-sahar
Dūbte Dūbte sañbhaltā hai
vo jise kho ke muztarib huuñ maiñ
jab bhī miltā hai haath maltā hai
us ke atrāf raat rahtī hai
jis ke markaz meñ diip jaltā hai
ek duniyā añdherī hotī hai
jab bhī sūraj kahīñ nikaltā hai
tere pairoñ meñ aable haiñ 'sabā'
aur tū pattharoñ pe chaltā hai
jo meri dhaDkanon mein palta hai
mausamon ki tarah badalta hai
qurb ke sehr mein wo jaan-e-sahar
Dubte Dubte sanbhalta hai
wo jise kho ke muztarib hun main
jab bhi milta hai hath malta hai
us ke atraf raat rahti hai
jis ke markaz mein dip jalta hai
ek duniya andheri hoti hai
jab bhi suraj kahin nikalta hai
tere pairon mein aable hain 'saba'
aur tu pattharon pe chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.