Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mushkil raste hain un ko yun hamwar karna hai

Nusrat Mehdi

jo mushkil raste hain un ko yun hamwar karna hai

Nusrat Mehdi

MORE BYNusrat Mehdi

    jo mushkil rāste haiñ un ko yuuñ hamvār karnā hai

    hameñ jazboñ kashtī se samundar paar karnā hai

    hamāre hausle majrūh karnā chāhte haiñ vo

    hameñ sūraj ke ruḳh par sāya-e-dīvār karnā hai

    jo thak kar so ga.e haiñ vo to ḳhud jaag jā.eñge

    abhī jaage hue logoñ ko bas bedār karnā hai

    uThā lo haath meñ parcham mohabbat ke parastāroñ

    chalo nafrat dīvāreñ abhī mismār karnā hai

    jahālat ke añdheroñ se nimaTne ke liye 'nusrat'

    charāġhoñ hameñ ik kārvāñ tayyār karnā hai

    jo mushkil raste hain un ko yun hamwar karna hai

    hamein jazbon ki kashti se samundar par karna hai

    hamare hausle majruh karna chahte hain wo

    hamein suraj ke ruKH par saya-e-diwar karna hai

    jo thak kar so gae hain wo to KHud hi jag jaenge

    abhi jage hue logon ko bas bedar karna hai

    uTha lo hath mein parcham mohabbat ke parastaron

    chalo nafrat ki diwaren abhi mismar karna hai

    jahaalat ke andheron se nimaTne ke liye 'nusrat'

    charaghon ka hamein ek karwan tayyar karna hai

    Source:

    Ghar Aane Ko Hai (Pg. 107)

    • Author: Nusrat Mehdi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Shivna Prakashan
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now