Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal hai us ka

Hasan Aziz

jo naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal hai us ka

Hasan Aziz

MORE BYHasan Aziz

    jo naqsh-e-barg-e-karam Daal Daal hai us

    to dasht aag ugaltā jalāl hai us

    dayār-e-dīda-o-dil meñ maiñ sochtā huuñ use

    ki is se aage tasavvur muhāl hai us

    adhūrī baat hai zikr-e-muqīm-e-shahr-e-junūb

    har ik musāfir-e-rāh-e-shumāl hai us

    badan ke dasht meñ us guuñj hai har

    javāb us ke haiñ har ik savāl hai us

    usī hai ye bharā shahr dasht-e-ḳhālī bhī

    ye bhiiḌ us hai qaht-ur-rijāl hai us

    maiñ sochtā huuñ ki tasvīr-e-ḳhāk ko merī

    hazār rañg meñ rañgnā kamāl hai us

    vo aa.ina bhī 'hasan' us ke fan jaadū hai

    ye chehra bhī hunar-e-lā-zavāl hai us

    jo naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal hai us ka

    to dasht aag ugalta jalal hai us ka

    dayar-e-dida-o-dil mein main sochta hun use

    ki is se aage tasawwur muhaal hai us ka

    adhuri baat hai zikr-e-muqim-e-shahr-e-junub

    har ek musafir-e-rah-e-shumal hai us ka

    badan ke dasht mein us ki hi gunj hai har su

    jawab us ke hain har ek sawal hai us ka

    usi ka hai ye bhara shahr dasht-e-KHali bhi

    ye bhiD us ki hai qaht-ur-rijal hai us ka

    main sochta hun ki taswir-e-KHak ko meri

    hazar rang mein rangna kamal hai us ka

    wo aaina bhi 'hasan' us ke fan ka jadu hai

    ye chehra bhi hunar-e-la-zawal hai us ka

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 612)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now