Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein

Mohammad Mubashshir Mayo

jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein

Mohammad Mubashshir Mayo

MORE BYMohammad Mubashshir Mayo

    jo puure hone se rah ga.e the vo ḳhvāb rakkhe hue haiñ ghar meñ

    yaqīn maano purānī rut ke gulāb rakkhe hue haiñ ghar meñ

    tumhāre lafzoñ dhīmī ḳhushbū havās-e-ḳhamsa ko nochtī hai

    ḳhatoñ sūrat meñ sach kahūñ to azaab rakkhe hue haiñ ghar meñ

    visāl lamhoñ goshvāra alag se likkhā hai diary meñ

    alag se furqat bebasī ke hisāb rakkhe hue haiñ ghar meñ

    hameñ paḌhānā hai apne bachchoñ ko apnī nasleñ sañvārnī haiñ

    isī liye to ham apnī hālat ḳharāb rakkhe hue haiñ ghar meñ

    jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein

    yaqin mano purani rut ke gulab rakkhe hue hain ghar mein

    tumhaare lafzon ki dhimi KHushbu hawas-e-KHamsa ko nochti hai

    KHaton ki surat mein sach kahun to azab rakkhe hue hain ghar mein

    visal lamhon ka goshwara alag se likkha hai diary mein

    alag se furqat ki bebasi ke hisab rakkhe hue hain ghar mein

    hamein paDhana hai apne bachchon ko apni naslen sanwarni hain

    isi liye to hum apni haalat KHarab rakkhe hue hain ghar mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now