jo raaz chhupaya wahi tashhir hua hai
jo raaz chhupāyā vahī tash.hīr huā hai
chehra tirā dīvār pe tasvīr huā hai
har dam mire pīchhe tirī āvāz ke saa.e
ye lahja tirā paañv kī zanjīr huā hai
ab paas nahīñ koī shanāsā koī hamdam
ik zaḳhm shanāsā.ī kī taqdīr huā hai
dil hai ki ye pahlū meñ koī phāñs chubhī hai
har saañs ki chaltī huī shamshīr huā hai
ab aur kisī se na kaho qissa-e-ġham tum
jis ne bhī sunā 'sīmīñ' gulū-gīr huā hai
jo raaz chhupaya wahi tashhir hua hai
chehra tera diwar pe taswir hua hai
har dam mere pichhe teri aawaz ke sae
ye lahja tera panw ki zanjir hua hai
ab pas nahin koi shanasa koi hamdam
ek zaKHm shanasai ki taqdir hua hai
dil hai ki ye pahlu mein koi phans chubhi hai
har sans ki chalti hui shamshir hua hai
ab aur kisi se na kaho qissa-e-gham tum
jis ne bhi suna 'simin' gulu-gir hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.