Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ranj nawishte mein hai kyunkar na milega

Meer Ali Ausat Rashk

jo ranj nawishte mein hai kyunkar na milega

Meer Ali Ausat Rashk

MORE BYMeer Ali Ausat Rashk

    jo rañj navishte meñ hai kyūñkar na milegā

    likhvā.eñge naama to kabūtar na milegā

    jis raat naqāb us mah-e-kāmil ne ulaT

    tāroñ ko nishān-e-mah-e-anvar na milegā

    abr-e-shab-e-furqat hai bañdhe āñsuoñ taar

    is tarah vaqt ai mizha-e-tar na milegā

    kāhīdgī-e-jism agar yuuñ rahegī

    ham ko bhī hamārā tan-e-lāġhar na milegā

    insāf ko samjho ḳhizar-e-rāh-e-hidāyat

    ai 'rashk' ab aisā koī rahbar na milegā

    jo ranj nawishte mein hai kyunkar na milega

    likhwaenge nama to kabutar na milega

    jis raat naqab us mah-e-kaamil ne ulaT di

    taron ko nishan-e-mah-e-anwar na milega

    abr-e-shab-e-furqat hai bandhe aansuon ka tar

    is tarah ka waqt ai mizha-e-tar na milega

    kahidgi-e-jism agar yun hi rahegi

    hum ko bhi hamara tan-e-laghar na milega

    insaf ko samjho KHizar-e-rah-e-hidayat

    ai 'rashk' ab aisa koi rahbar na milega

    Source:

    Noquush (Pg. B-403 E413)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now