jo sab ke dil mein paida pyar ho jae
jo sab ke dil meñ paidā pyaar ho jaa.e
zamīñ banjar gul-o-gulzār ho jaa.e
mire lahje meñ terā ho asar itnā
binā bole tirā parchār ho jaa.e
lagegā har bashar phir apnā 'ālam meñ
diloñ se ḳhatm gar dīvār ho jaa.e
haqīqat meñ banegī duniyā phir jannat
sabhī meñ gar tirā dīdār ho jaa.e
chhape insāniyat kī ḳhabreñ bas 'dilbar'
jahāñ meñ aisā har aḳhbār ho jaa.e
jo sab ke dil mein paida pyar ho jae
zamin banjar gul-o-gulzar ho jae
mere lahje mein tera ho asar itna
bina bole tera parchaar ho jae
lagega har bashar phir apna 'alam mein
dilon se KHatm gar diwar ho jae
haqiqat mein banegi duniya phir jannat
sabhi mein gar tera didar ho jae
chhape insaniyat ki KHabren bas 'dilbar'
jahan mein aisa har aKHbar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.