Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sab ki KHair-KHwahi chahta hai

Faisal Qadri Gunnauri

jo sab ki KHair-KHwahi chahta hai

Faisal Qadri Gunnauri

MORE BYFaisal Qadri Gunnauri

    jo sab ḳhair-ḳhvāhī chāhtā hai

    vo apnī vāh-vāhī chāhtā hai

    faqīr-e-vaqt ḳhvāhish to dekho

    ye taḳht-e-bādshāhī chāhtā hai

    kabhī masjid darvāza na dekhā

    magar qurb-e-ilāhī chāhtā hai

    kar andar apne paidā ḳhāksārī

    agar kaj-kulāhī chāhtā hai

    mayassar ho use bhī manzil-e-‘ishq

    mohabbat ye raahī chāhtā hai

    marīz-e-hijr ko 'faisal' talab kyā

    ġham-e-dil davā chāhtā hai

    jo sab ki KHair-KHwahi chahta hai

    wo apni wah-wahi chahta hai

    faqir-e-waqt ki KHwahish to dekho

    ye taKHt-e-baadshahi chahta hai

    kabhi masjid ka darwaza na dekha

    magar qurb-e-ilahi chahta hai

    kar andar apne paida KHaksari

    agar tu kaj-kulahi chahta hai

    mayassar ho use bhi manzil-e-‘ishq

    mohabbat ka ye rahi chahta hai

    mariz-e-hijr ko 'faisal' talab kya

    gham-e-dil ki dawa hi chahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now