Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae

Murlidhar Sharma Talib

jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae

Murlidhar Sharma Talib

MORE BYMurlidhar Sharma Talib

    jo sahrā hai use kaise samundar likh diyā jaa.e

    ġhazal meñ kis tarah rahzan ko rahbar likh diyā jaa.e

    qalam ke dosh par ho imtihāñ bojh jis had tak

    magar haq to ye hai patthar ko patthar likh diyā jaa.e

    kisī in.aam ḳhātir na hogā ham se ye hargiz

    ki ik shāhīn ko jañgalī kabūtar likh diyā jaa.e

    sitam dāstāñ kis raushnā.ī se raqam hogī

    lahū dhaar se daftar daftar likh diyā jaa.e

    kisānoñ ko mayassar jab nahīñ do vaqt roTī

    to aise khet ko be-sūd-o-banjar likh diyā jaa.e

    hamārī tishnagī se bhī koī masrūr hotā hai

    hamārī pyaas ko labrez sāġhar likh diyā jaa.e

    qalam ko maiñ ne bhī talvār āḳhir kar liyā 'tālib'

    mirī nok-e-qalam ko nok-e-ḳhanjar likh diyā jaa.e

    jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae

    ghazal mein kis tarah rahzan ko rahbar likh diya jae

    qalam ke dosh par ho imtihan ka bojh jis had tak

    magar haq to ye hai patthar ko patthar likh diya jae

    kisi inam ki KHatir na hoga hum se ye hargiz

    ki ek shahin ko jangali kabutar likh diya jae

    sitam ki dastan kis raushnai se raqam hogi

    lahu ki dhaar se daftar ka daftar likh diya jae

    kisanon ko mayassar jab nahin do waqt ki roTi

    to aise khet ko be-sud-o-banjar likh diya jae

    hamari tishnagi se bhi koi masrur hota hai

    hamari pyas ko labrez saghar likh diya jae

    qalam ko main ne bhi talwar aaKHir kar liya 'talib'

    meri nok-e-qalam ko nok-e-KHanjar likh diya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now